Seedhi
Date 13 august
Papa ki ungli pakadne se lekar
Unhe scooty ki ride karane tak
Maa ke haathon se khana aur
Tanhai Mein unse ghanto baatein karne tak
Kitchen me chai se lekar gulab jamun banane Tak
School ke pehle din se lekar 12th ke boards tak
Nayi class ki kitabon ko tohfa samajhne se lekar
Pariksha me unhi kitabon se uttar sochne tak
Roz subah neend ko goodbye kehne se lekar
Raat me beete din ki baatein sochne tak
Kagaz ke plane udane se lekar newspaper padhne ke liye takkaluf uthane tak
Sooyi me dhaga dalne se lekar sweater banane Tak
Birth certificate ke registration se lekar passport hasil krne Tak
Papa ke paise udane se lekar khud ki salary bachane tak
Doosron ke padchinhon ko aadarsh banane se lekar khud apni pehchan banane Tak
Sabne seedhi ka sahara liya hai
Kabhi aage badhe kabhi pichhe fisle
Kabhi girte girte sambhle
Aarambh se ant tak ka safar
Sab seedhi chadh kr hi aaye
Sapne agar sochte hi sach ho jate
To sapne nhi kehlate
Jab hume chai bhi chuskiyon me Pina pasand hai
To manzil ki talaash aur Fateh ek pal me kaise sambhav hai?
Har seedhi kuchh sikha jati hai
Har thokar mazboot banati hai
To har chuski me anand dhoondhe
Aur aage badhe, kyunki janab Bina chuskiyon ke chai aur bina seekhe manzil nhi milti.
सीख की सीढी से कामयाबी की मंजिल हो मुक्कमल
ReplyDeleteबनी रहे ज्ञान मंजूषा और कर्मयोग का निरंतर संबल
परमपिता परमेश्वर की कृपा से मार्ग हो स्वच्छ और धवल
बिटिया के हर प्रयास में मातापिता का आशीर्वाद है हर पल