Mera darpan

Date:30/10/21

Darpan bhi ek paheli hai
Apne aap me ek saheli bhi
Jab doosron me humsafar dhoondha
To kabhi zyada kabhi kam paya
Par mujhe samta ka ehsaas to Iss darpan ne dikhaya

Mai jaisa bhi hun,
Bina bole, har baar mujhe sach bataya
Mujhe apne har laparwahi pe afsos, 
Mere khushi me hothon pe muskan
Aur har gam me roothe nainon pe majboor kar diya
Kya itna kam tha?
Roz tere samne mai kise dhoondhta hun? 
Apne har guzarte hue Waqt ko kyun tatolta hun? 
Tujhme apne kamiyon ko dhoondhta hun
Phir bhi tum mere har chhalawe ko nakam karte ho
Tumse haar kar Phir milne ka mann nhi karta
Par meri khushi me tumse mile bina safar shuru nhi hota
Tu mere ghar ki shobha nhi, tu har us jagah hai jahan mera wajood
Ek darpan to kaanch ke tukdon se bana tha, 
Ek Tu Hai jo meri koshishon ki manzilon ko jod ke bani. 
Itni baar mile, par tujhse poochha nhi
Tumhari bhi koi khwaish hai? 
Aashiyan mera itna bada nhi par safalta ka chhota sa chhat hai. 
Ek paidan, jispe mere aham ko chhod kar 
Mai tumhara intezaar karunga. 



Date 29/10/21 after watching soul movie

Comments

Popular posts from this blog

Budhi amma kahan jaa hi ho?

ME AND GUITE

YE AANKHEIN KUCH KEHTI HAI......