YE AANKHEIN KUCH KEHTI HAI......
Ye aankhein kuch kehti hai
kabhi nam ho jaati hai
kabhi khushi ke aansu bahati hai
jab samne sab kuch hota hai to maun ho jati hai
kabhi badi badi baatein pal me keh jati hai
ye aankhein kuch kehti hai.....
In aankhon me alag si ek roshni hai
jo kisi khwaish ko pura karne ki daud me lagi hai
apne sapne mein kho gyi hai
ye aankhein....
par phir bhi
ye aankhein kuch kehti hai....
Ye aankhein kabhi kisi garib ki bhukh ko dikha deti hai
kabhi amiro ka gurur jata deti hai
kabhi kisi tanha ki tanhai
to kabhi kisi ki khamoshi ko bayan karti hai
ye aankhein....
ye aankhein kuch kehti hai
In aankhon me sapno ki potli hai,
jahan har subah ek umeed hoti hai
In aankhon me beete hue kal ki yaden hai
aur aane wale kal ki umeed,
jinme dher sari baate basi hai
aur kitne hi lamho ki khushi.
un lamho ki dastan keh rhi hai
ye aankhein....
ye aankhein kuch kehti hai
In aankhon me kuch dhundhle - dhundhle chehre hai
kuch anjane, kuch pehchane hue
unki kahi bate,unki muskurahte
unse ki gyi mulakate hai
in aankhon me....
ye aankhein kuch kehti hai
ye aankhein
mann ki baaton ko ,
dil ki khwaishon ko,
apno ki yadon ko keh rhi hai
ye aankhein...
ye aankhein kuch nhi
bahut kuch kehti hai
ye aankhein kuch kehti hai....
kuch kehti hai....
great effort ,keep it up
ReplyDeletethanks mam
Deleterocking as usual..impressed!!
ReplyDeleteAmazing geeta luvd ur writing.
ReplyDelete