Posts

Showing posts from March, 2022

What is the most important thing to keep moving on?

 Date:9/7/21 We all strive for something in our life and try to put our heart & soul in achieving it. No matter how small or big your dreams are nevertheless everyone has to put an effort for adding a feather in cap.  On this journey we face rejections, downfall, depression and sometimes lose all what we aspired for. What keeps us going on the path we have chosen? Ever faced a situation when no one pays attention to your miseries and you have to struggle to keep moving forward in life. When tough times strike our faith blows the happy-go-lucky bubble around us , its natural to think of Why me?  We live in a modernized world surrounded with gadgets and technology all around us. For the starters, an alarm clock patiently obeys to be impatient every morning , all the wires crisscrossed in a systematic pattern in entire house to make every non-living thing alive in a second, and how can we leave our present days besties - Mobile phone ,TV, AC and PC (personal car!). All t...

Seedhi

Image
Date 13 august Papa ki ungli pakadne se lekar Unhe scooty ki ride karane tak Maa ke haathon se khana aur Tanhai Mein unse ghanto baatein karne tak Kitchen me chai se lekar gulab jamun banane Tak School ke pehle din se lekar 12th ke boards tak Nayi class ki kitabon ko tohfa samajhne se lekar Pariksha me unhi kitabon se uttar sochne tak Roz subah neend ko goodbye kehne se lekar Raat me beete din ki baatein sochne tak Kagaz ke plane udane se lekar newspaper padhne ke liye takkaluf uthane tak Sooyi me dhaga dalne se lekar sweater banane Tak Birth certificate ke registration se lekar passport hasil krne Tak Papa ke paise udane se lekar khud ki salary bachane tak Doosron ke padchinhon ko aadarsh banane se lekar khud apni pehchan banane Tak Sabne seedhi ka sahara liya hai  Kabhi aage badhe kabhi pichhe fisle Kabhi girte girte sambhle Aarambh se ant tak ka safar  Sab seedhi chadh kr hi aaye Sapne agar sochte hi sach ho jate  To sapne nhi kehlate Jab hume chai bhi chuskiyon me Pin...

Mera darpan

Date:30/10/21 Darpan bhi ek paheli hai Apne aap me ek saheli bhi Jab doosron me humsafar dhoondha To kabhi zyada kabhi kam paya Par mujhe samta ka ehsaas to Iss darpan ne dikhaya Mai jaisa bhi hun, Bina bole, har baar mujhe sach bataya Mujhe apne har laparwahi pe afsos,  Mere khushi me hothon pe muskan Aur har gam me roothe nainon pe majboor kar diya Kya itna kam tha? Roz tere samne mai kise dhoondhta hun?  Apne har guzarte hue Waqt ko kyun tatolta hun?  Tujhme apne kamiyon ko dhoondhta hun Phir bhi tum mere har chhalawe ko nakam karte ho Tumse haar kar Phir milne ka mann nhi karta Par meri khushi me tumse mile bina safar shuru nhi hota Tu mere ghar ki shobha nhi, tu har us jagah hai jahan mera wajood Ek darpan to kaanch ke tukdon se bana tha,  Ek Tu Hai jo meri koshishon ki manzilon ko jod ke bani.  Itni baar mile, par tujhse poochha nhi Tumhari bhi koi khwaish hai?  Aashiyan mera itna bada nhi par safalta ka chhota sa chhat hai.  Ek paidan, jispe mer...