MERE SAPNO KA BHARAT....

Sapno ki kashti mein safar karne chale hai
bharat ke wibhinn swaroopon ko darshan karne chale hai
ek chhote se mann mein dher saare sapne base hai

Swachhand bharat ki abhilasha ke sang

shubh karmo se kuch karne chale hai
sapno ke bharat ko bunne chale hai
sapno ke bharat ko bunne chale hai....

Swachhta ki manokamna se

swachh ho har nagar hamara
hum sab ek hai
ka hi lage har gali me naara

Veerta ki parchhai ho bharat

ekta ki aawaz ho bharat
jahan sab ek hai \
aisa sansar ho bharat

Kisi jang se na koi ghayal ho

chahe kaisi bhi paristithi aaye
har or shanti kayam ho

Deepak ki ujwal jyoti se

dur ho andhkar sabhi
na ho bhrashtachar desh me
na hi atyachar kahin

Beti na ho bojh kisi ki

beta na ho ahankar
bhedbhaw mitta hi jaye
aur badle sabke mann ka bhav

Aane wale naye yug me

garibi kisiko na sataye
bhukhe bache na soye
iss baat se maa kab tak ghabray

Gyan ke unnat marg par

har koi apna kadam badhay

Pradushan se dushit na ho wan- upwan

wriksho ki jholi se
paripurn ho sabka jeevan

Aao sab milkar ek

naye bharat ka nirman kare
jahan lootpat , maramari na ho
sirf sadbhav awam sanskar rahe

Sanskriti hamari prasidh ho

har koi iska samman kare
khushiyan baate jab hum tyohaaron me
to deepak har dwar jale

Umeedon ke indradhanush ko

bharne chale hai
sapno ki kashti me safar karne chale hai
mere sapno ke bharat ko bunne chale hai........

Comments

Popular posts from this blog

Budhi amma kahan jaa hi ho?

ME AND GUITE

YE AANKHEIN KUCH KEHTI HAI......