Dhoondh rahi hu apna bachpan...........

Dhoondhti  hu un doston ko 
Jinke sang luka chhipi kheli thi
Un galiyon ko 
Jahan sawere hote hi 
Nikal padte the khelne ko

Un khilauno ko 

Jo na jane kahan kho gaye
Un shaitaniyon ko 
Jo kabhi bhula na paungi

Saalon beete,dost chhut gaye

Khialaune toot gaye
Kuchhh iss safar mein roothe 
Kisi se mai roothi

Kabhi kabhi 

Yad aa jate hai bachpan ke wo din
Jab rote rote ,sisaskte sisaskte 
Naaraz ho jate the
Phir kuchh pal bad
Unhi ke pas jake baithte 
Jinse jhagda hum kar aate the

Jab nanhe nanhe haathon se

Badi badi cheeze girate the
Koi daante isse pehle kahin
Kone mein chhip jaate the

Bhuli nahi hu 

Bachpan ke wo din
Jab sar pe koi bojh na tha 
Waqt ki parwah  na thi 
Saara din apna tha
Jo mann chahe wo karna tha
Koi shikayat kare to dar na tha
Koi gam na tha

Char subject the bas wahi padhna tha

Itni si book thi aur itta sa kaam tha 
Sabko pata hai kitna aaram tha
Koi kuchhh bhi kahe 
Bachpan.........BACHPAN THA................

Comments

Popular posts from this blog

Budhi amma kahan jaa hi ho?

ME AND GUITE

YE AANKHEIN KUCH KEHTI HAI......