Posts

Showing posts from April, 2016

MERE SAPNO KA BHARAT....

Image
Sapno ki kashti mein safar karne chale hai bharat ke wibhinn swaroopon ko darshan karne chale hai ek chhote se mann mein dher saare sapne base hai Swachhand bharat ki abhilasha ke sang shubh karmo se kuch karne chale hai sapno ke bharat ko bunne chale hai sapno ke bharat ko bunne chale hai.... Swachhta ki manokamna se swachh ho har nagar hamara hum sab ek hai ka hi lage har gali me naara Veerta ki parchhai ho bharat ekta ki aawaz ho bharat jahan sab ek hai \ aisa sansar ho bharat Kisi jang se na koi ghayal ho chahe kaisi bhi paristithi aaye har or shanti kayam ho Deepak ki ujwal jyoti se dur ho andhkar sabhi na ho bhrashtachar desh me na hi atyachar kahin Beti na ho bojh kisi ki beta na ho ahankar bhedbhaw mitta hi jaye aur badle sabke mann ka bhav Aane wale naye yug me garibi kisiko na sataye bhukhe bache na soye iss baat se maa kab tak ghabray Gyan ke unnat marg par har koi apna kadam badhay Pradushan se dushit na ho wan- upwan wriksho ki ...

Dhoondh rahi hu apna bachpan...........

D hoondhti  hu un doston ko  Jinke sang luka chhipi kheli thi Un galiyon ko  Jahan sawere hote hi  Nikal padte the khelne ko Un khilauno ko  Jo na jane kahan kho gaye Un shaitaniyon ko  Jo kabhi bhula na paungi Saalon beete,dost chhut gaye Khialaune toot gaye Kuchhh iss safar mein roothe  Kisi se mai roothi Kabhi kabhi  Yad aa jate hai bachpan ke wo din Jab rote rote ,sisaskte sisaskte  Naaraz ho jate the Phir kuchh pal bad Unhi ke pas jake baithte  Jinse jhagda hum kar aate the Jab nanhe nanhe haathon se Badi badi cheeze girate the Koi daante isse pehle kahin Kone mein chhip jaate the Bhuli nahi hu  Bachpan ke wo din Jab sar pe koi bojh na tha  Waqt ki parwah  na thi  Saara din apna tha Jo mann chahe wo karna tha Koi shikayat kare to dar na tha Koi gam na tha Char subject the bas wahi padhna tha Itni si book thi aur itta sa kaam tha  Sabko pata hai kitna aaram tha K...