Yhi jeevan hai

Kabhi kabhi zindagi me kuchh mukaam aise aate hain
Jahan door se sab sthir nazar aata hai
Lagta hai ki sab ruka hai
Sab sthir hai
Lagta hai jaise ye aakhiri pehar hai
Ant hai , har prayas ka jo kbhi kiya gya tha

Lekin jab us manzil ki or kadam badhte hain
To yakin ho jata hai 
Us par jisne ye sab Racha tha
Jis pal lagta hai ki sab samapt ho gya
Whin se shuruwat hoti hai
Ek aise safar ki jahan 
Thake Rahi ko sahara mil jata hai
Jo ab tak sthir lag rha tha wahan se 
Kadmon ki Sfurti badh jati hai
Lagta hai ki ab humein kuchh krne ki zarurat nhi
Kadme manzil tak apne aap pahunch jati hain

Kuchh aisa hi manzar hai 
Jab insaan sab kuchh haar jata hai
Aur agle pal ye lage ki wo to kbhi Hara hi nhi tha

Yhi jeevan hai
Aur is jeevan me haarna sweekar nhi
Prayas pragati ki parakashtha pe zarur pahunchayegi.

#Midnoon poems
#lonely station #idea@escalator as metaphor 

Comments

Popular posts from this blog

Budhi amma kahan jaa hi ho?

YE AANKHEIN KUCH KEHTI HAI......

ME AND GUITE