Posts

Showing posts from December, 2022

Yhi jeevan hai

Kabhi kabhi zindagi me kuchh mukaam aise aate hain Jahan door se sab sthir nazar aata hai Lagta hai ki sab ruka hai Sab sthir hai Lagta hai jaise ye aakhiri pehar hai Ant hai , har prayas ka jo kbhi kiya gya tha Lekin jab us manzil ki or kadam badhte hain To yakin ho jata hai  Us par jisne ye sab Racha tha Jis pal lagta hai ki sab samapt ho gya Whin se shuruwat hoti hai Ek aise safar ki jahan  Thake Rahi ko sahara mil jata hai Jo ab tak sthir lag rha tha wahan se  Kadmon ki Sfurti badh jati hai Lagta hai ki ab humein kuchh krne ki zarurat nhi Kadme manzil tak apne aap pahunch jati hain Kuchh aisa hi manzar hai  Jab insaan sab kuchh haar jata hai Aur agle pal ye lage ki wo to kbhi Hara hi nhi tha Yhi jeevan hai Aur is jeevan me haarna sweekar nhi Prayas pragati ki parakashtha pe zarur pahunchayegi. #Midnoon poems #lonely station #idea@escalator as metaphor