Yakeen

¶ Date 14 August 2020 ¶
<Time : 1.06 am>

Ehsaas ehsas ka nahin, 
Tajjub takdir par nahin
Kewal yakeen, khud par... 

Shabd nishabd, Spasht nhi
Raaste pe dhoondh, pag badhe nhi
Sthir, ek pal, ek shwans, jo ye keh rhi
Kewal yakeen, khud par... 

Khud pr yakeen jo kar liya, 
Fir agr aur prishth me antar nhi |
Yakin se jo bandh gya
Fir dar ho ya ho bhay, uski zarurat nhi |


Ahankar ki aahat nhi
Sankalp dridh, avichal, 
Mann, Ki bhi bhoomika, 
Prayas ko di sweekriti |
Sushm ho ya ushm, bahri hain ye sabhi
Kewal yakeen, khud par.. 

Parichit prabhon se aparichit abhavo ko
Door kar
Mitrata sashakt ki, 
Fir nirjeev awastha nhi, urja ye hai nayi Kewal yakeen.. Khud par |

@Photo Source :Adobe





Comments

Popular posts from this blog

Budhi amma kahan jaa hi ho?

ME AND GUITE

YE AANKHEIN KUCH KEHTI HAI......