Yakeen
¶ Date 14 August 2020 ¶ <Time : 1.06 am> Ehsaas ehsas ka nahin, Tajjub takdir par nahin Kewal yakeen, khud par... Shabd nishabd, Spasht nhi Raaste pe dhoondh, pag badhe nhi Sthir, ek pal, ek shwans, jo ye keh rhi Kewal yakeen, khud par... Khud pr yakeen jo kar liya, Fir agr aur prishth me antar nhi | Yakin se jo bandh gya Fir dar ho ya ho bhay, uski zarurat nhi | Ahankar ki aahat nhi Sankalp dridh, avichal, Mann, Ki bhi bhoomika, Prayas ko di sweekriti | Sushm ho ya ushm, bahri hain ye sabhi Kewal yakeen, khud par.. Parichit prabhon se aparichit abhavo ko Door kar Mitrata sashakt ki, Fir nirjeev awastha nhi, urja ye hai nayi Kewal yakeen.. Khud par | @Photo Source :Adobe