MAI KABIL NAHI ?


                                                                     MAI KABIL NAHI ?


Mai kabil nahi
Ye soch kar,
na jane kitne mauke gawa diye
dhoondhte doosron me khoobi aur apno me khami
hi hum pehchan na sake khud ko
guzar gaye na jane kitne lamhe
pehchan apni banane ki daud me
chhut gaye kitne raaste
har mod pe fikr kiya fakr nahi

kabhi apni trutiyon ko sawarte
kabhi umeed kar koshish karte
lekin antatah
khud ko man ki chardiwari me kaid kar
mukh par kuch wyakt na kar pate
koshishe insaan ko mazbut banati hai
par hamne to
koshish ko kathinayi ka nam de diya
kabil na samajh kar
ek pag pichhe karte karte
na jane raasta kitna door ho gaya
path pe pag badhne ki zarurat hai
kabil nahi ... yah prashn nahi
sirf mangadhit soch hai |



Comments

  1. उत्तम विचार
    काविलियत की झलक
    मंजिल की तरफ बढते कदम
    पैर जमीन पर और सर आसमान में
    अपनी अहमियत का एहसान पर इन्सानियत की महक
    प्रभु आपके कदम सदैव सन्मार्ग पर अग्रसर रखें और मंजिल दर मंजिल आपके कदमों मे रहे

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Budhi amma kahan jaa hi ho?

YE AANKHEIN KUCH KEHTI HAI......

ME AND GUITE