Adrishya....

Dikh jata hai maa ka pyaar aksar..
Pal pal pyaar umadta hai
Haa, thoda daant de
Par
Mann me karuna rehta hai...
Kya kahun...
Maa to gale se lagakar...
Rou to chup kara deti hai

Par..
Pita to apne bhav ko
Spasht nahi karte....
Bachon ki kamnao ko pura bhi karte hai
Bachpan me....
Khush karne ke liye...
Ban jate the khilaunewala...

Kabhi taali bajakar hansa dete the
Kabhi kandhe par bithakar
sair kara late the...
Gussa bhi karte hai kabhi kabhi...
Kabhi manane me bhi waqt lagta hai
To kabhi pal me muskura dete hai...

Pita shiksha dete hai
Jeevan me sahi karm karne ki
Pita haunsla bante hai meri
Kuch na kar pau to...
Pita se hi sikha hai Maine
Aage badhna....Aur badhte rehna...

Maa ka pyaar koi bhul nhi sakta
Amulya hai wah....
Lekin .....
Adrishya hai wo prem pita ka...
Putri ke liye...
Par phir bhi hai atulya...

Comments

  1. पिता का पितृत्व जगाया :- पुत्री ने
    चेहरे पर मुस्कान लाया :- पुत्री ने
    सर पे सम्मान सजाया :- पुत्री ने
    आँखो मे अरमान दिखाया :- पुत्री ने
    परमात्मा का प्यार दिलाया :- पुत्री ने

    हरि ! ऊँ ! गीता !
    परमात्मा की कृपा सदैव तुम सभी पर बनी रहे
    हरि ऊँ शरण

    ReplyDelete
  2. Beautifully written my lil sis....no words to complement further...!!!

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Budhi amma kahan jaa hi ho?

ME AND GUITE

YE AANKHEIN KUCH KEHTI HAI......