Adrishya....
Dikh jata hai maa ka pyaar aksar.. Pal pal pyaar umadta hai Haa, thoda daant de Par Mann me karuna rehta hai... Kya kahun... Maa to gale se lagakar... Rou to chup kara deti hai Par.. Pita to apne bhav ko Spasht nahi karte.... Bachon ki kamnao ko pura bhi karte hai Bachpan me.... Khush karne ke liye... Ban jate the khilaunewala... Kabhi taali bajakar hansa dete the Kabhi kandhe par bithakar sair kara late the... Gussa bhi karte hai kabhi kabhi... Kabhi manane me bhi waqt lagta hai To kabhi pal me muskura dete hai... Pita shiksha dete hai Jeevan me sahi karm karne ki Pita haunsla bante hai meri Kuch na kar pau to... Pita se hi sikha hai Maine Aage badhna....Aur badhte rehna... Maa ka pyaar koi bhul nhi sakta Amulya hai wah.... Lekin ..... Adrishya hai wo prem pita ka... Putri ke liye... Par phir bhi hai atulya...