YE AANKHEIN KUCH KEHTI HAI......
Ye aankhein kuch kehti hai kabhi nam ho jaati hai kabhi khushi ke aansu bahati hai jab samne sab kuch hota hai to maun ho jati hai kabhi badi badi baatein pal me keh jati hai ye aankhein kuch kehti hai..... In aankhon me alag si ek roshni hai jo kisi khwaish ko pura karne ki daud me lagi hai apne sapne mein kho gyi hai ye aankhein.... par phir bhi ye aankhein kuch kehti hai.... Ye aankhein kabhi kisi garib ki bhukh ko dikha deti hai kabhi amiro ka gurur jata deti hai kabhi kisi tanha ki tanhai to kabhi kisi ki khamoshi ko bayan karti hai ye aankhein.... ye aankhein kuch kehti hai In aankhon me sapno ki potli hai, jahan har subah ek umeed hoti hai In aankhon me beete hue kal ki yaden hai aur aane wale kal ki umeed, jinme dher sari baate basi hai aur kitne hi lamho ki khushi. un lamho ki dastan keh rhi hai ye aankhein.... ye aankhein kuch kehti hai In aankhon me kuch dhundhle - dhundhle chehre hai kuch anjane, kuch pehchane hue unki kahi bate,unki muskur...